“Swar aur lay k madhur rachna k dwara jb hm apne bhawo ko pragat karte hn ,to use sangeet kahte hn.”
Gayan,vaadan aur nritya in teeno kalaao ka sangam kahlata h.
Sangeet ko 2 bhaago me banta gya h.
1. Shashtriya sangeet / Classical music:-
Shashtriya sangeet me shashtra k vishesh niyamo ka paalan karna padta h. lay- taal ka sunischit tariko se dhyan rakhna hota h.Raago ka chalan kya h, inme kaun-kaun se se nischit swaro ka upyog kre- in sabhi baato ka hamesha dhyan rakhna padta h.
2. Bhaw sangeet / Light Music:-
Bhaw sangeet me koi v niyamit bandhan nhi hota aur na hi shashtra ka vishesh niyam hota h .Bhaw sangeet ka mukhya uddeshya kaano ko priya lagna hota h.
Filmy sangeet ko hm bhaw sangeet ki shreni me hi rakhte hn.